jau kaha
aaj bhor ki chali
mai nikali kidhar ko
jaane kaha mai chali
gili ankhiya
sehma badan liye
jane kis chanda
ki chamak ko choone mai chali
siskiyo ka khazana dhoke chal padi
usi ret pe fir se ek kahani likhne
mai jaane kis soch se chali
dekho na, mera sapna beh gaya
in aansuo mei mera kal deh gaya
ye pata, na jaane kiska hai
ye safar mera hai bhi ya nahi?
bahut der ho gayi
itni ki
mera musafir mujhme hi so gaya
dekho na, kaise andhiara ho gaya
kaccha sa mann; kacchi si yaadein leke
mai kahi door chali
aaj bhor ki nikali
jaane kaha mai chali?
Shringi
Saturday, April 10, 2010
Jau Kaha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Followers
About Me
- Shringi Kumari
- Close your eyes and let the aura sing. I am nobody but an anomic shadow of yours.
beautiful....
ReplyDeleteTruly Beautiful.
ReplyDelete