Kal ke lad baithe hum do bhai
Mai Ram, mujhse bada Ramzaan
mitti, aag, dahan mei lipte
mera bhai jale ya mai
roti ki har kaur ke liye
Maa ke aanchal ki chav ke liye
toote khilauno ke purzo ke liye
lad liye
har daud, har jeet, har haar mei
mai aur mera bhai...
kaun hai kisko
kisse zyaada pyaara
kiski jeb mei itra ka pyaala
lad lad ke bachpan guzara
socha ik din hogi sulah
par jaane kab ho gaya batwaara
...
us raat jab hum muh mod ke soye
kisko pata tha Ramzaan aur Ram
ek suraj ki roshni saath dekhne ko tarsenge dobara
Shringi
26 September 2010
Not sure if I know the meaning.
Sunday, September 26, 2010
Ram aur Ramzaan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Followers
About Me
- Shringi Kumari
- Close your eyes and let the aura sing. I am nobody but an anomic shadow of yours.
Absolutely awesome.
ReplyDeleteis cheez ka kiya istemaal logon ne bahut, apne phaede ke liye kiya nishchey na dekhne denge in dono ko ek suraj ki roshni dubara...
ReplyDeletesee u have it in you to write simple yet awesome ones! it being the harsh truth makes me sad though :|
ReplyDeleteladki tum kya likhti ho yaar...i m so in love wid all the stuff of urs.
ReplyDelete