Thursday, November 17, 2011

Kshan




(Hawa ki boondein
mere badan ko choo ke
asmaan mei ghul rahi hai)

ye kya ho raha hai
(ye sab kya ho raha hai)

kshano ke ghunghroo pehan
thirak thirak
mai
aasman ke manch pe
naach rahi hu

kisi tatkar mei tum mere bhitar hote ho
to kisi mudra mei koi aur.

kabhi Ram Ram
to kabhi Raavan
kabhi Krishn Krishn
to kabhi Kans

Kabhi krodh mujhme Shiv ko pata hai
to kabhi karuna mujhme, ek aur Shiv

(Hawa ki boondein
mere badan ko choo ke
asmaan mei ghul rahi hai)

Wo tera hi sparsh hai
jo leke jaa raha hai mujhe
isi aasman mei kahi
jaha ek aur aasman ka sangam hota hai

Aao, mere sang ho lo
hum milkar kuch aisa naache
ki ho jaaye hawa ki wo boond
jo aasman mei ghul jaye

Shringi
November 17, 2011

2 comments:

  1. Awesome read after a long time, it definitely needs a composed state of mind to come up wid such a wonderful verse.

    ReplyDelete

Followers

About Me

Close your eyes and let the aura sing. I am nobody but an anomic shadow of yours.