kuch ghoont pani ke
kuch pyaas thi meri
kuch sard se tum
kuch aas thi meri
aaj agar yu kahu
ki jo reh gaya wo pani tha
jo so gaya wo parvat
kuch waqt tha thaka hua
kuch tum aur mai nasamajh
waah re mohabbat
aaj fir le li angrayee
mere mehboob ki adaye
tum se to kam hai
meri deewanagi
tumse to kam hai
jam gaye wo khwab kuch
jam gayi kuch baatein
karvaton me lipte
jam gaye kuch hum kuch tum
ye ehsaas kuch kalpana
kuch hakikat hai
ye mera aaj kuch behta hua
kuch behad sakht hai
tum kaho to aau
tum kaho to kuch door ho jau
tum kaho to ro du mai
tum kaho to has padu
kuch jannat
kuch jannat ke paas hai ye
kuch sach
kuch brahm ka bhandar hai ye
mohhabbat agar kabhi sach tha
to kuch jhooth ka sansar hai ye
Shringi
Saturday, March 13, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Followers
About Me
- Shringi Kumari
- Close your eyes and let the aura sing. I am nobody but an anomic shadow of yours.
No comments:
Post a Comment